Wednesday, 19 October 2011

Janey kiyun wo bheer mein tanha lagta hai

Janey kiyun wo bheer mein tanha lagta hai
Jaise dasht may koi ghulab tanha khilta hai

Uski ghazlon ka unwaan hamesha firaaq hota hai
Phir bhi wo hurf vasl bar-haa likhta hai

Taqseem jab bhi hoti hai zaat meri tukroon may
Wo bhaut inhimak se bhikharne ki sada sunta hai

Jab bhi kisi dewane per waar kartey hain ahl-e-shehar
Sub teer wo apney seenay pe tanha sehta hai

Ab bhi wo sahil pe khada lehroon ko hasrat se taka karta hai
Janey kiyun wo samandar ko piyaasa likhta hai

Wednesday, 17 August 2011

Jee Dhoondta hai--- with lyrics .




Muddat hui hai yaar ko
Muddat hui hai yaar ko…Mehmaan kiye huye
Josh-e-qadah se bazm chiraaghaan kiye hue
Jee Dhoondta hai
Jee Dhoondta hai phir wohi fursat ke raat-din
Jee Dhoondta hai phir wohi fursat ke raat-din
Baithe rahe tasavvur-e-jaanaan kiye huwe
Baithe rahe tasavvur-e-jaanaan kiye huwe
Jee Dhoondta hai phie wohi fursat ke raat-din
hmm…
Phir jee mein hai ki dar pe kisi ke pade rahein
Phir jee mein hai ki dar pe kisi ke pade rahein
Sar zar-e-baar-e-minnat-e
Sar zar-e-baar-e-minnat-e-darbaan kiye huwe
Jee Dhoondta hai phir wohi fursat ke raat-din
Maange hai phir kisi ko lab-e-baam par hawas
Maange hai phir kisi ko lab-e-baam par hawas
Zulf-e-siyaah rukh pe pareshaan kiye huwe
Jee Dhoondta hai phir wohi fursat ke raat-din
Ghalib hamein na chhed ki fir josh-e-ashq se
Baithe hain hum tahayya-e-toofaan kiye huwe
Jee Dhoondta hai phir wohi fursat ke raat-din
Baithe rahe tasavvur-e-jaanaan kiye huwe
Jee Dhoondta hai phir wohi fursat ke raat-din
Baithe rahe tasavvur-e-jaanaan kiye huwe
Jee Dhoondta hai phir wohi fursat ke raat-din
Jee Dhoondta hai
Jee Dhoondta hai…..

Wednesday, 6 July 2011

Gaey dino kaa suraagh

Gaey dino kaa suraagh lay kar kidhar say aya kidhar giya wo
Ajeeb manuus ajanabi tha mujhay to hairan kar giya wo

Khushi ki rut ho kay gham ka mausum nazar usay Dhundhati hai har dam
Wo buu e gul tha kay naghma e jaan meray to dil main utar giya wo

Wo maikaday ko jaganay wala wo raat ki nind uraanay wala
Na janay kiya us kay jii main aai kay shaam hotay hi ghar giya wo

Kuch ab sambhalanay lagi hai jaan bhi badal chalaa rang aasmaan bhi
Jo raat bhaarii thi tal gai hai jo din kara tha guzar giya wo

Shikasta paa raah main khra hoon gaey dino ko bulaa rahaa hoon
Jo qaafilaa mera ham safar thaa misl e gard e safar giya wo

Bas ek manzil hai bul e havas ki hazaar rastay hain ehal e dil kay
Ye hi to hai farq mujh main us main guzar giya main thehar giya wo


Wo jis kay shanay pay haath rakh kar safar kiya tu nay manzilon ka
Teri gali say na jaanay kiyoun aaj sar jhukaay guzar giya wo

Wo hijar ki raat ka sitaara wo ham nafas ham sukhan hamaraa
Sadaa rahay naam us ka piyara sunaa hai kal raat mar giya wo

Bas ek moti si chhab dikha kar bas ek meethi si dhun sunaa kar
Sitaraa e shaam ban kay aya barang e khayaal e sahar giya wo

Na ab vo yaadon ka charhataa dariyaa na fursaton ki udaas barkhaa
Youn hi zaraa si kasak hai dil main jo zakhm geharaa thaa bhar giya wo

Wo raat kaa bey navaa musaafir wo teraa shaayar wo teraa 'Nasir'
Teri gali tak to ham nay daikhaa phir na janay kidhar giya wo






Saturday, 25 June 2011

qaid-e-tanhai

Jis aaghosh-e-Nakheel ko tum ne qaid-e-tanhai samjha
woh qila junoon-e-fitrat se banaya tha mein ne
Ek Dunya hasraton ki wahan bhi basti thi
Bas tum ko Nigah-e-Mukhalif se chupaya tha mein ne
Bari azaad uraan bhartay ho mauje-e-saba mein
par ehsaas-e-qurbat ko kuch dur paya tha mein ne
Jin rangon ko tum ne tabbasum ka zarya samjha,
Jazbaat k un teelon ko khud he giraya tha mein ne
Kuch keh denay ki dastaras tu hasil nahi,
bas ek bhara hua dil basaya tha mein ne

Tuesday, 7 June 2011

Raat phaili hai tere surmaie aanchal ki tarhan



Raat phaili hai tere surmaie aanchal ki tarhan
Chand nikla hai tujhay dhoondhnay pagal ki tarhan


Khushk patton ki tarah log uray jatay hain
Shehr bhi ab tou nazar aanay laga jungle ki tarah


Phir khayalon main teray kurb ki khushbu jaagi
Phir barasnay lagi anakahin meri badal ki tarhan


Be-wafaoon say wafa kartay guzari hai hayat
Ye barasta raha weeranay pe badal ki tarhan.........!!

Sunday, 5 June 2011

kahani hum na likhaiN gay

hijr k mosmo'n ki ab kahani hum na likhaiN gay
koi bhi baat pehli se pura’ni hum na likhaiN gay

wo har ik lafz ke jis per koi sawal uth’taa ho
safh-e-qurtas per hargiz zabani hum na likhaiN gay

thi’thartey sard mousam to sadaa dil hi dukha’eiN gay
tujhay ay shaam-e-gham ab k suhani hum na likhaiN gay

ye moasam beet jana ab k chupke se dabay paa’oN
rehi hooN maiN kabhi teri dewani hum na likhaiN gay

tu muj pe mehrbaa’N rehna kabhi naraz na hoNa
aiy meri zindagi tujh ko be-gani hum na likhaiN gay

wo bus ik shaam jo apni tumharay saath guzri thi
hamaiN chupke se thi ik din chura’ni hum na likhaiN gay

thakaN hum ne samaiti hai bohat rah e mohabat main
pari dil ki KARrI keemat chu’kaaNi hum na likhaiN gay

Friday, 13 May 2011

"ATA HAI YAD MUJH KO GUZRA HUA ZAMANA"


Aata hay yaad mujh ko wo guzra hua zamana
Wo baagh ki baharain wo sab ka chehchahana

Azaadian kahan wo ab apnay ghonslay ki
Apni khushi se aana,apni khushi se jana

Lagti hay chot DIL per,aata hay yaad jis dam
Shabnam k aansuon per kallion ka muskurana

Wo pyarai pyari soorat,wo kaamni si moorat
Abaad jis k dam se tha mera aashiana

Aati nahi sadain us ki meray qafas main
Hoti meri rihai kaash meray bas main!

Kia badnaseeb hoon main ghar ko taras raha hoon
Saathi to hay watan main ,main qaid main para hoon

Aai bahaar,kallian phoolon ki hans rahi hain
Main iss andheray ghar main kismat ko ro raha hoon

Iss qaid ka ilaahi! dukhra kisay sunaon
Dar hay yahin qafas main main gham se na mar jaon

Jab se chaman chuta hay,ye haal ho gaya hay
Dil gham ko kha raha hay,DIL gham ko kha raha hay

Gana isay samajh ker khush hon na sunnay walay
Dukhtay huay DIL ki faryad pe sada hay

Azaad mujh ko ker day, O qaid kernay walay
Main bay zuban hoon qaidi,tu chor ker dua lay

Amir J.