Saturday, 25 June 2011

qaid-e-tanhai

Jis aaghosh-e-Nakheel ko tum ne qaid-e-tanhai samjha
woh qila junoon-e-fitrat se banaya tha mein ne
Ek Dunya hasraton ki wahan bhi basti thi
Bas tum ko Nigah-e-Mukhalif se chupaya tha mein ne
Bari azaad uraan bhartay ho mauje-e-saba mein
par ehsaas-e-qurbat ko kuch dur paya tha mein ne
Jin rangon ko tum ne tabbasum ka zarya samjha,
Jazbaat k un teelon ko khud he giraya tha mein ne
Kuch keh denay ki dastaras tu hasil nahi,
bas ek bhara hua dil basaya tha mein ne

Tuesday, 7 June 2011

Raat phaili hai tere surmaie aanchal ki tarhan



Raat phaili hai tere surmaie aanchal ki tarhan
Chand nikla hai tujhay dhoondhnay pagal ki tarhan


Khushk patton ki tarah log uray jatay hain
Shehr bhi ab tou nazar aanay laga jungle ki tarah


Phir khayalon main teray kurb ki khushbu jaagi
Phir barasnay lagi anakahin meri badal ki tarhan


Be-wafaoon say wafa kartay guzari hai hayat
Ye barasta raha weeranay pe badal ki tarhan.........!!

Sunday, 5 June 2011

kahani hum na likhaiN gay

hijr k mosmo'n ki ab kahani hum na likhaiN gay
koi bhi baat pehli se pura’ni hum na likhaiN gay

wo har ik lafz ke jis per koi sawal uth’taa ho
safh-e-qurtas per hargiz zabani hum na likhaiN gay

thi’thartey sard mousam to sadaa dil hi dukha’eiN gay
tujhay ay shaam-e-gham ab k suhani hum na likhaiN gay

ye moasam beet jana ab k chupke se dabay paa’oN
rehi hooN maiN kabhi teri dewani hum na likhaiN gay

tu muj pe mehrbaa’N rehna kabhi naraz na hoNa
aiy meri zindagi tujh ko be-gani hum na likhaiN gay

wo bus ik shaam jo apni tumharay saath guzri thi
hamaiN chupke se thi ik din chura’ni hum na likhaiN gay

thakaN hum ne samaiti hai bohat rah e mohabat main
pari dil ki KARrI keemat chu’kaaNi hum na likhaiN gay