Wednesday, 25 July 2012

zikr-e-shab-e-firaaq se vahashat use bhii thii



zikr-e-shab-e-firaaq se vahashat use bhii thii 
merii tarah kisii se muhabbat use bhii thii

[zikr-e-shab-e-firaaq = mention of the night of separation]
[vahashat = fear/dread]

mujh ko bhii shauq thaa naye cheharo.n kii diid kaa
rastaa badal ke chalane kii aadat use bhii thii

us raat der tak vo rahaa mahv-e-guftaguu
masruuf mai.n bhii kam thaa faraaGat use bhii thii

[mahv-e-guftaguu = immersed in conversation]
[masruuf = busy; faraaGat = leisure/freedom from business]

sunataa thaa vo bhii sab se puraanii kahaaniyaa.N
taazaa rafaaqato.n kii zaruurat use bhii thii

[rafaaqat = friendship]

mujh se bichha.D ke shahar me.n ghul mil gayaa vo shaKhs
haalaa.Nke shahar bhar se raqabat use bhii thii

[haalaa.N ke = although; raqabat = enmity]

vo mujh se ba.Dh ke zabt kaa aadii thaa jii gayaa
varnaa har ek saa.Ns qayaamat use bhii thii

[zabt = tolerance/restraint; aadii = habituated]

Thursday, 19 July 2012

Usay Bhool Ja

Kahan Aa K Rukay Thay Raastay Kahan Mor Tha Usay Bhool Ja

Ju Mil Gia Usay Yaad Rakh Jo Na Mil Saka Usay Bhool Ja 



Wo Teray Naseeb Ki Barishein Kisi Aur Chhat Pe Baras Gaein

Dil-E-Bekhabar Meri Baat Sun Usay Bhool Ja Usay Bhool Ja

Main Tu Gum Tha Teray He Dhayaan Mein Teri Aass Teray Gumaan Mein

Hawa Keh Gai Meray Kaan Mein Meray Saath A Usay Bhool Ja

Kisi Aankh Mein Nahi Ashk-E-Gham Teray Baad Kuch Bhi Nahi Hey Kam

Tujhay Zendagi Ny Bhola Dia Tu Bhi Muskara Usay Bhool Ja

Na Wo Aankh He Teri Aankh Thi Na Wo Khawab He Tera Khawab Tha

Dil-E-Muntazir Tu Ye Kis Liye Tera Jaagna Usay Bhool Ja

Ye Ju Raat Din Ka Hey Khail Sa Isay Dikh Es Par Yaqeen Kar

Nahi Akss Koi Bhi Mustaqil Sar-E-Aina Usay Bhool Ja

Ju Bisaat-E-Jaan Hey Ulat Gia Wo Ju Rastay Sy Palat Gia

Usay Roknay Sy Hasool Kia Usay Mat Bola Usay Bhool Ja

Ye Ju Agaahi Ka Saraab Hey Yehe Sab Sy Barh Kar Azaab Hey

Ye Samjh Wo Akss-E-Khayaal Tha Koi Khawab Tha Usay Bhool Ja

Tu Ye Kis Liye Shab-E-Hijr K Usay Har Sitaaray Mein Dikhna

Wo Falak K Jis Pe Milay Thay Ham Koi Aur Tha Usay Bhool Ja

Kiyon Ataa Hua Hey Ghubaar Mein Gham-E-Zendagi K Fashaar Mein

Wo Ju Darj Tha Teray Bakht Mein So Wohe Gia Usay Bhool Ja

Tujhay Chand Ban K Mila Tha Ju Teray Sahailoon Pe Khila Tu Ju

Wo Tha Ik Dariya Wassaal Ka So Utar Gia Usay Bhool Ja